BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai
bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai
zindagi mujh ko akela bhi nahin chhoDti hai
aafiyat ka koi gosha bhi nahin chhoDti hai
aur duniya mera rasta bhi nahin chhoDti hai
mujh ko ruswa bhi bahut karti hai shohrat ki hawas
aur shohrat mera pichha bhi nahin chhoDti hai
hum ko do ghonT ki KHairaat hi de do warna
pyas pagal ho to dariya bhi nahin chhoDti hai
aabru ke liye roti hai bahut pichhle pahar
ek aurat ki jo pesha bhi nahin chhoDti hai
Dubne wale ke hathon mein ye pagal duniya
ek TuTa hua tinka bhi nahin chhoDti hai
ab ke jab ganw se lauTe to ye ehsas hua
dushmani KHun ka rishta bhi nahin chhoDti hai
kya mukammal hai judai ki bichhaD jaane ke baad
tujh se milne ka bahana bhi nahin chhoDti hai
jaante sab the ki nafrat ki ye kali aandhi
dasht to dasht hain dariya bhi nahin chhoDti hai
(1002) Peoples Rate This