Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai
ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai
nur tera hai charaghon mein dhuan kis ka hai
kya ye mausam tere qanun ke paband nahin
mausam-e-gul mein ye dastur-e-KHizan kis ka hai
rakh ke shahr mein ek ek se main puchhta hun
ye jo mahfuz hai ab tak ye makan kis ka hai
mere mathe pe to ye dagh nahin tha pahle
aaj aaine mein ubhra jo nishan kis ka hai
wahi tapta hua sahra wahi sukhe hue honT
faisla kaun kare aab-e-rawan kis ka hai
chand rishton ke khilaune hain jo hum khelte hain
warna sab jaante hain kaun yahan kis ka hai
(1608) Peoples Rate This