Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya
qalaq aa gaya iztirab aa gaya
ye dil kya gaya ek azab aa gaya
lifafe mein purze mere KHat ke hain
mere KHat ka aaKHir jawab aa gaya
idhar baDhte baDhte baDha dast-e-shauq
udhar aate aate hijab aa gaya
kaha us ne dekha jo dar par mujhe
kahan se ye KHana-KHarab aa gaya
jabin pur-shikan hai nigah shoala-rez
ye kaun aaj zer-e-itab aa gaya
sikandar nasibe ka hai wo faqir
tere dar se jo kaamyab aa gaya
ye aalam hua tabish-e-husn se
sawa neze par aaftab aa gaya
hue hi the aamada tauba pe hum
ki gardish mein jam-e-sharab aa gaya
hui qail-e-jalwa-e-tur KHalq
sar-e-baam wo be-naqab aa gaya
ye kya kam hai ai shaiKH mai ka jawaz
wo kabe se uTh kar sahab aa gaya
uThae gae bazm se bul-hawas
unhen shewa-e-intiKHab aa gaya
adu sath rahne lage ai 'wafa'
gahan mein mera aaftab aa gaya
(423) Peoples Rate This