Maut Ilaj-e-gham To Hai Maut Ka Aana Sahl Nahin

maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin

jaan se jaana sahl sahi jaan ka jaana sahl nahin

hamdardi hamdardi mein jaan hi le kar Talte hain

in zalim ham-dardon se jaan chhuDana sahl nahin

barq bhi girti hai aksar KHirman bhi jalte hain magar

apne hathon KHirman ko aag lagana sahl nahin

gham ke khane walon ko kha jaata hai gham aaKHir

gham ka khana mushkil hai gham ka khana sahl nahin

dawa-e-majzubiyat kya mujh se kare mansur 'wafa'

bak uThna hai sahl magar bakte jaana sahl nahin

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Ilaj-e-gham To Hai Maut Ka Aana Sahl Nahin In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Maut Ilaj-e-gham To Hai Maut Ka Aana Sahl Nahin is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Maut Ilaj-e-gham To Hai Maut Ka Aana Sahl Nahin for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Maut Ilaj-e-gham To Hai Maut Ka Aana Sahl Nahin in PDF.