Jawani Mein Tabiat La-ubaali Hoti Jati Hai

jawani mein tabiat la-ubaali hoti jati hai

taraqqi par meri shorida-haali hoti jati hai

shab-e-gham chhaya jata hai dhuan aahon ke shoalon se

sitare TuTte hain raat kali hoti jati hai

umiden aati hain aa aa ke dil se nikli jati hain

ye wo basti hai jo bas bas ke KHali hoti jati hai

khile jate hain gul maqtal mein kya kya aks-e-ariz se

kisi ki tegh bhi phulon ki Dali hoti jati hai

wo sun kar haal-e-furqat hoga hoga kahte jate hain

kahani meri mazi ehtimali hoti jati hai

mile hain sunne wale dil ke patthar ai 'wafa' aise

ki sharminda meri nazuk-KHayali hoti jati hai

(478) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Mein Tabiat La-ubaali Hoti Jati Hai In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Jawani Mein Tabiat La-ubaali Hoti Jati Hai is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Jawani Mein Tabiat La-ubaali Hoti Jati Hai for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Jawani Mein Tabiat La-ubaali Hoti Jati Hai in PDF.