Dayar-e-husn Mein Pabandi-e-rasm-e-wafa Kam Hai
dayar-e-husn mein pabandi-e-rasm-e-wafa kam hai
bahut kam hai bahut kam hai ba-hadd-e-intiha kam hai
jafa-e-be-sabab kam hai ki jaur-e-na-rawa kam hai
teri be-dad ai zalim na hone par bhi kya kam hai
kamal-e-dilbari mein kaun si teri ada kam hai
na shoKHi kam haya se hai na shoKHi se haya kam hai
ba-kasrat sair ki hai har rawish gulzar-e-alam ki
yahan rang-e-mohabbat hai bahut bu-e-wafa kam hai
KHuda ke nam par dast-o-gireban hain KHuda wale
bahut hai jis qadar zikr-e-KHuda KHauf-e-KHuda kam hai
azal se hoti aai hai abad tak hoti jaegi
gunahgar-e-wafa par jis qadar bhi ho jafa kam hai
dua ko hath kyun uTThe mere timar-daron ke
zaban se kyun nahin kahte ki ummid-e-shafa kam hai
rahe kyunkar na bad-zan wo shah-e-husn ai 'wafa' mujh se
baDa nadan hai sunta bahut hai dekhta kam hai
(379) Peoples Rate This