Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1dd441c116c1d9ef7f61e274f591140b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai - Mehshar Afridi Poetry In English - Darsaal

Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai

maraz ke waste itni dawa ziyaada hai

mere sawal se teri ata ziyaada hai

tumhaari subh mein ek rang hai nadamat ka

mujhe bhi raat se KHauf-e-KHuda ziyaada hai

meri wafaon ki ujrat tumhaari jaan mein hai

mere hisab se ye KHun-baha ziyaada hai

sharab-e-ishq hai donon ke jam mein lekin

meri sharab mein KHun-e-wafa ziyaada hai

na jaane Dhal gaya kaise main tere sanche mein

mere mizaj mein waise ana ziyaada hai

ye shohraten nae dushman bahut banati hain

sambhal ke rahna tumhaari hawa ziyaada hai

(1855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai In English By Famous Poet Mehshar Afridi. Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai is written by Mehshar Afridi. Read famous Poem Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai for youth and Student by Mehshar Afridi. Free Download Maraz Ke Waste Itni Dawa Ziyaada Hai in PDF.