Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun
lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun
mujhe wo pyas hai shayad ki main pani se mar jaun
tum us ko dekh kar chhu kar bhi zinda lauT aae ho
main us ko KHwab mein dekhun to hairani se mar jaun
main itna saKHt-jaan hun dam baDi mushkil se niklega
zara taklif baDh jae to aasani se mar jaun
ghanimat hai parinde meri tanhai samajhte hain
agar ye bhi na hon to ghar ke virane se mar jaun
nazar-andaz kar mujh ko zara sa khul ke jine de
kahin aisa na ho teri nigahbani se mar jaun
bahut se sher mujh se KHun thukwate hain aamad par
bahut mumkin hai main ek din ghazal-KHwani se mar jaun
teri nazron se gir kar aaj bhi zinda hun main kiya KHub
taqaza hai ye ghairat ka pashemani se mar jaun
(1592) Peoples Rate This