Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai
jo chand lamhon mein ban gaya tha wo silsila KHatm ho gaya hai
ye tum ne kaisa yaqin dilaya mughaalta KHatm ho gaya hai
zaban honTon pe ja ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se
namak nahin hai tere labon mein ya zaiqa KHatm ho gaya hai
guman ganw se main chala tha yaqin ki manzilon ki jaanib
magar tawahhum ke jangalon mein hi rasta KHatm ho gaya hai
wo guftuguon ke narm chashme kahin faza mein hi jam gae hain
wo sare message wo shairi ka tabaadala KHatm ho gaya hai
kal ek sadma paDa tha hum par ke jis ne dil ko hila diya tha
chalo ke sine ka jaeza len ki zalzala KHatm ho gaya hai
mere tasawwur mein itni wusat nahin ke tera badan samae
main tujh ko sochun to aisa lagta hai hafiza KHatm ho gaya hai
main tujh ko pa kar hi mutmain hun ab aur koi talab nahin hai
jo aaj tak tha nasib se wo mutalba KHatm ho gaya hai
(2066) Peoples Rate This