Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh
ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh
mujhe zaban se nahin ruh se pukar ke dekh
meri zamin pe chal tez tez qadmon se
phir us ke baad tu jalwe mere ghubar ke dekh
ye ashk dil pe giren to bahut chamakta hai
kabhi ye aaina tezab se nikhaar ke dekh
na puchh mujh se tere qurb ka nasha kya hai
tu apni aankh mein Dore mere KHumar ke dekh
zara tujhe bhi to ehsas-e-hijr ho jaanan
bas ek raat mere haal mein guzar ke dekh
abhi to sirf kamal-e-ghurur dekha hai
tujhe qasam hai tamashe bhi inkisar ke dekh
(2992) Peoples Rate This