Hangama Shahr-e-jaan Mein Musalsal Lahu Se Hai
hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai
ehsas mein hai jitni bhi halchal lahu se hai
shadabiyan usi ki badaulat hain ruh mein
hai regzar-e-jism jo jal-thal lahu se hai
sabit hua ki deta hai tu ye bhi aag si
sabit hua ye soz-e-musalsal lahu se hai
KHake sabhi adhure hain sab naqsh na-tamam
duniya mein jo bhi kuchh hai mukammal lahu se hai
qaem hai us se aariz-e-gulgun ki dilkashi
rangin ruKH-e-hayat ka aanchal lahu se hai
danishwari lahu se mili ek shaKHs ko
ek aur shaKHs hai ki jo pagal lahu se hai
'rahi' wagarna zehn hai tarikiyon ka ghar
raushan KHayal-o-fikr ki mashal lahu se hai
(464) Peoples Rate This