Chand Suraj Shafaq Kahkashan KHatm-shud
chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud
ab uDun kis taraf aasman KHatm-shud
regzar-e-yaqin ta-ba-hadd-e-nazar
sabza-zar-e-KHayal-o-guman KHatm-shud
phir hua yun ki aankh ek dam khul gai
muKHtasar ye ki bas dastan KHatm-shud
fikr ke sare gul-buTe murjha gae
zehn ki sari shadabiyan KHatm-shud
us ne aate hi sab khiDkiyan khol din
dafatan sar mein tha jo dhuan KHatm-shud
rishte-nate sabhi jun ke tun hain magar
ek taqaddus jo tha darmiyan KHatm-shud
zehn ko ab nichoDun to Tapke ghazal
thi kabhi wo jo tab-e-rawan KHatm-shud
(504) Peoples Rate This