Altaf-o-karam Ghaiz-o-ghazab Kuchh Bhi Nahin Hai
altaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai
tha pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai
barsat ho suraj se samundar se uge aag
mumkin hai har ek baat ajab kuchh bhi nahin hai
dil hai ki haweli koi sunsan si jis mein
KHwahish hai na hasrat na talab kuchh bhi nahin hai
ab zist bhi ek lamha-e-sakit hai ki jis mein
hangama-e-din garmi-e-shab kuchh bhi nahin hai
sab quwwat-e-bazu ke karishmat hain 'rahi'
kya chiz hai ye nam-o-nasab kuchh bhi nahin hai
(594) Peoples Rate This