Agar Allah Ki Wahdaniyat Taslim Karte Ho
agar allah ki wahdaniyat taslim karte ho
to phir insan ko KHanon mein kyun taqsim karte ho
mohabbat dastaras se lafz-o-mani ki hai baala-tar
miyan tum us ki bhi tashrih aur tafhim karte ho
tumhaara qaul kyunkar mo'atabar Thahre ki tum us mein
kabhi tansiKH karte ho kabhi tarmim karte ho
haqir un ko samajhte ho jo hain tauqir ke qabil
razilon ki magar tazim aur takrim karte ho
baghawat kyun nahin karte KHuda-wandan-e-baatil se
KHuda bar-haq hai is haq ko agar taslim karte ho
agar qabu nahin KHud par to sab be-sud-o-la-hasil
bahadur lakh ho tasKHir haf-iqlim karte ho
in aawara parindon ko pakaD pate ho tum kyunkar
KHayalon ki ai 'rahi' kis tarah tanzim karte ho
(1141) Peoples Rate This