Achchhe Nahin Hain Waqt Ke Tewar Mere Aziz
achchhe nahin hain waqt ke tewar mere aziz
rahna hai apni khaal ke andar mere aziz
teri munafiqat pe mujhe koi shak nahin
mere rafiq mere baradar mere aziz
aa teri tishnagi ka mudawa hai mere pas
mera lahu halal hai tujh par mere aziz
ehsas jis ka nam hai wo chiz mustaqil
chubhti hai mere zehn ke andar mere aziz
aur is mein tair kar mujhe hona hai surKH-ru
darpesh hai lahu ka samundar mere aziz
nadan wahimon ke taaqub se baz aa
koi nahin kisi ka yaqin kar mere aziz
mumkin jo ho to us se rihai dila mujhe
mujh par hai bar-e-dosh mera sar mere aziz
izhaar-e-haq se baz kab aate hain aise log
'rahi' ho ya hon 'shad'-o-'muzaffar' mere aziz
(561) Peoples Rate This