Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho
lamba safar hai sud-o-ziyan dekhte raho
tum inqalab-e-kaun-o-makan dekhte raho
aankhen karoge band to uTThengi ungliyan
daur-e-bahaar ho ki KHizan dekhte raho
aaina dil ka hai jo shikasta to kya hua
tum ab kamal-e-shisha-garan dekhte raho
aaseb ki misal hain ye raste tamam
jae bhaTak ke kaun kahan dekhte raho
dil aur shama donon barabar hain soKHta
uThta hai kis jagah se dhuan dekhte raho
(409) Peoples Rate This