Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa85964e16cc014c6a8f76511d665bc9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain - Megi Asnani Poetry In English - Darsaal

Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain

kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain

aqide se baDi dair-o-haram ko dekh lete hain

kabhi rote hue mujh ko nazar-andaz karte hain

kabhi aankhon mein wo halki si nam ko dekh lete hain

kabhi us muskurahaT mein kabhi us be-ruKHi mein hum

sitam ko dekh lete hai karam ko dekh lete hain

hamein is waste bhi aaine par pyar aata hai

hum apni aankh mein apne balam ko dekh lete hain

bichhaD ke ho chuke barson magar KHwabon ko hai taslim

hum un ko dekh lete hain wo hum ko dekh lete hain

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain In English By Famous Poet Megi Asnani. Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain is written by Megi Asnani. Read famous Poem Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain for youth and Student by Megi Asnani. Free Download Kabhi Hum But Kabhi Nur-e-sanam Ko Dekh Lete Hain in PDF.