Jo Mar Gae Teri Chashm-e-siyah Ke Mare
jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare
na hashr ko bhi uThenge nigah ke mare
misal-e-barg-e-KHizan sarsar-e-firaq se aah
paTakte phirte hain sar hum tabah ke mare
azizo dil na do yusuf ki kar ke chah kabhi
ki ja ke chah mein girte hain chah ke mare
ilahi hashr mein aawaz-e-sur sun kyunkar
uThunga aah main bar-e-gunah ke mare
hazar kar aah-e-dil-e-natawan se ai zalim
ki koh Tal gae hain barg-e-kah ke mare
na samjhiyo ki falak par sitare hain raushan
hain raKHna-dar mere tir-e-ah ke mare
bisan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-wafa
uThate sar nahin hargiz tabah ke mare
ujaD gae KHirad-o-sabr-o-hosh-o-tab-o-tawan
usi ke naz-o-ada ki sipah ke mare
jahan-e-dil ai 'jahandar' ek din na basa
jafa-e-shah-e-taghaful-shiar ke mare
(411) Peoples Rate This