Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_109c9fe2c09c4bdcdffe318b3c8360f1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera - Meerza Jawan Bakht Jahandar Poetry In English - Darsaal

Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera

dil-e-pur-KHun jo jam hai mera

KHun sharb-e-mudam hai mera

rind-o-awara nam hai mera

sab mein ye ehtiram hai mera

aariz o zulf-e-yar ka dhyan

munis-e-subh-o-sham hai mera

umr guzri ki misl-e-naqsh-e-qadam

us ki rah mein qayam hai mera

aah ek din bhi dekh kar na kaha

ye bhi kui naqsh-e-gam hai mera

qasid us harf-e-na-shunu tak jald

yahi jagah payam hai mera

abhi aana hai to shitabi aa

kaam warna tamam hai mera

hai usi but ke taq-e-abru ko

jo sujud o salam hai mera

gah be-KHud hun gah ba-KHud har dam

kuch aur ye maqam hai mera

ai 'jahandar' hun main said-e-asir

har KHam-e-zulf dam hai mera

(449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera In English By Famous Poet Meerza Jawan Bakht Jahandar. Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera is written by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Read famous Poem Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera for youth and Student by Meerza Jawan Bakht Jahandar. Free Download Dil-e-pur-KHun Jo Jam Hai Mera in PDF.