Dur Kinara
phaili dharti ke sine pe jangal bhi hain lahlahate hue
aur dariya bhi hain dur jate hue
aur parbat bhi hain apni chup mein magan
aur sagar bhi hain josh khate hue
un pe chhaya hua nila aakash hai
nile aakash mein nur late hue din ko suraj bhi hai
sham jaane pe hai chand se samna
raat aane pe nanhe sitare bhi hain jhilmilate hue
aur kuchh bhi nahin
ab tak aai na aainda to aaegi bas yahi baat hai
aur kuchh bhi nahin
ek tu ek main dur hi dur hain
aaj tak dur hi dur har baat hoti rahi
dur hi dur jiwan guzar jaega
lahr se lahr Takrae kaise kaho
aur sahil se chhu jae kaise kaho
lahr ko lahr se dur karti hui beach mein sainkaDon aur lahren bhi hain
aur kuchh bhi nahin
chhai masti jo dil par mere bhul ki
ek hi baat rah rah ke kahta hai
ek hi dhyan ke dard mein dil ko lazzat mili
aarzu ki kali kab khili
ek hi mauj par main to bahta raha
ab tak aai na aainda tu aaegi
chahe dharti ke sine pe jangal na hun
chahe parbat na hon chahe dariya na hon chahe sagar na hon
nile aakash mein chand-tare na hon koi suraj na ho
raat-din hon na duniya mein sham-o-sahar
koi parwa nahin
ek hi dhyan hai
dur hi dur jiwan guzar jaega aur kuchh bhi nahin
(1804) Peoples Rate This