Uljhan Ki Kahani
ek akahra dusra dohra tisra hai so tihra hai
ek akahre par pal pal ko dhyan ka KHunin pahra hai
dusre dohre ke raste mein tisra khel ka mohara hai
tisra tihra jo hai us ka sab se ujagar chehra hai
goya akahra pahra dohra mohra tihra chehra hai
ek akahra kaghaz dohra tihra ho kar naw bani
naw se pal bhar bachche bahle khel khel mein ghao bani
ghao bani to dil mein dhyan ye aaya kah den aao bani
ban ban kar jo khel bigaD jate hain un ki baat nahin
koi janaza bhi ye nahin hai aur koi baraat nahin
ye ek aisa din hai jis ke aage pichhe raat nahin
tihre ki har tah mein yun to ek naya hi chehra hai
lekin har ek chehra us bin khele khel ka mohra hai
jis ka rang akahra hai
aage baat baDhaen kaise baat bane to baat baDhe
ab tak rang akahra tha gar koi baDha to hath baDhe
honi ki to rit yahi hai chhoTe din ki raat baDhe
ab to jo bhi baDhna chahe apne sath hi sath baDhe
aage pichhe dauD dauD kar ek aage ek pichhe hai
pichhe wala kaise baDhe jab aage wala bhi dauDe
donon choT barabar ki hain ye donon se kaun kahe
haar aur jit isi mein hai ab kaun ruke aur kaun baDhe
(557) Peoples Rate This