SarsarahaT
yahan in silwaTon par hath rakh dun
ye lahren hain bahi jati hain aur mujh ko bahati hain
ye mauj-e-baada hain saghar ki KHwabida-faza dil mein
achanak jag uThti hai
haqiqat ke jahan se koi is duniya mein dar aae
to us ke honT mutabassim hon shayad qahqaha uTh kar
mere dil ko jakaD le apne hathon se
magar main ye samajhta hun ki ye lahren abhi tak sahili manzar se na-waqif hain yunhi ek bahana kar rahi hain ek bahana kis ko kahte hain
bahane hi bahane hain
baDha kar rakh diya lahron pe main ne hath mera hath ek kashti ki manind ek mauj-e-tund
ki uftad ke jalwe ko mere samne la kar hua hai gum
ye sab mauj-e-taKHayyul ki rawani thi
magar main sochta hun baat jo kahne ki thi main ne na kyun pahle hi kah di waqt ka
be-faeda masraf
har ek poshida manzar ko
ugal Dalega ek lamha wo aaega
ki jab is baat ke sunne pe sunne wale sochenge
bahana kya tha silwaT kya thi mauj-e-baada bhi kya thi
magar shab ki andheri KHalwat-e-gumnam ke parde mein kho kar un ko ye malum ho jaega ek pal mein
aur ek lazzat ke kaif-e-muKHtasar mein kho ke wo be-saKHta ye baat kah uTThenge kya
mujh ko ijazat hai
yahan in silwaTon par hath rakh dun ye jhijak kaisi
ye lahren hain inhen nisbat hai kali raat ke ghamnak dariya se
jo bahta hi chala jata hai rukta hi nahin pal ko
jise kuchh bhi gharaz is se nahin main hath rakkhun ya jhijak us hath ko mere
kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein
kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein
(471) Peoples Rate This