Samundar Ka Bulawa
ye sargoshiyan kah rahi hain ab aao ki barson se tum ko bulate bulate mere
dil pe gahri thakan chha rahi hai
kabhi ek pal ko kabhi ek arsa sadaen suni hain magar ye anokhi nida aa rahi hai
bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na aainda shayad thakega
mere pyare bachche mujhe tum se kitni mohabbat hai dekho agar
yun kiya to
bura mujh se baDh kar na koi bhi hoga KHudaya KHudaya
kabhi ek siski kabhi ek tabassum kabhi sirf tewari
magar ye sadaen to aati rahi hain
inhi se hayat-e-do-roza abad se mili hai
magar ye anokhi nida jis pe gahri thakan chha rahi hai
ye har ek sada ko miTane ki dhamki diye ja rahi hai
ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari
faqat kan sunte chale ja rahe hain
ye ek gulistan hai hawa lahlahati hai kaliyan chaTakti hain
ghunche mahakte hain aur phul khilte hain khil khil ke murjha ke
girte hain ek farsh-e-maKHmal banate hain jis par
meri aarzuon ki pariyan ajab aan se yun rawan hain
ki jaise gulistan hi ek aaina hai
isi aaine se har ek shakl nikhri sanwar kar miTi aur miT hi gai phir na ubhri
ye parbat hai KHamosh sakin
kabhi koi chashma ubalte hue puchhta hai ki us ki chaTanon ke us par kya hai
magar mujh ko parbat ka daman hi kafi hai daman mein wadi hai wadi mein naddi
hai naddi mein bahti hui naw hi aaina hai
isi aaine mein har ek shakl nikhri magar ek pal mein jo miTne lagi hai to
phir na ubhri
ye sahra hai phaila hua KHushk be-barg sahra
bagule yahan tund bhuton ka aks-e-mojassam bane hain
magar main to dur ek peDon ke jhurmuT pe apni nigahen jamae hue hun
na ab koi sahra na parbat na koi gulistan
ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari
faqat ek anokhi sada kah rahi hai ki tum ko bulate bulate mere dil pe
gahri thakan chha rahi hai
bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na shayad thakega
to phir ye nida aaina hai faqat main thaka hun
na sahra na parbat na koi gulistan faqat ab samundar bulata hai mujh ko
ki har shai samundar se aai samundar mein ja kar milegi
(1045) Peoples Rate This