Na-rasai
raat andheri ban hai suna koi nahin hai sath
pawan jhakole peD hilaen thar-thar kanpen pat
dil mein Dar ka tir chubha hai sine par hai hath
rah rah kar sochun yun kaise puri hogi raat
barkha-rut hai aur jawani lahron ka tufan
pitam hai nadan mera dil rasmon se anjaan
koi nahin jo baat sujhae kaise hon saman
bhagwan mujh ko rah dikha de mujh ko de de gyan
chappu TuTe naw purani dur hai khewan-haar
bairi hain naddi ki maujen aur pitam us par
sun le sun ke dukh mein pukare ek paremi bechaara
kaise jaun kaise pahunchun kaise jataun pyar
kaise apne dil se miTaun birah agan ka rog
kaise sujhaun prem paheli kaise karun sanjog
baat ki ghaDiyan bit na jaen dur hai us ka des
dur des hai pitam ka aur main badle hun bhes
(484) Peoples Rate This