Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun
main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein
taKHayyul ka baDa sagar tasawwur ke hasin jhonke
liye aate hain barish mein tamannaen ibaadat ki
magar puri nahin hoti tamanna dil ki chahat ki
kisi aurat ka pairahan kisi KHalwat ki KHushbuen
kisi ek lafz-e-be-mani ki miThi miThi sargoshi
yahi chizen mere ghamgin KHayalon par hamesha chhai rahti hain
ibaadat ka tariqa harkaten hain tishna o mubham
kabhi ruh-e-sanam bedar KHwab-e-marg-e-muhmal se nahin
kisi indar-sabha ki lakh pariyan aa ke bahlaen
lubhate nach nachen aur rasile rag bhi gaen
magar ye murda-dil aadi hai bas ghamgin KHayalon ka
ghaTa aati nahin KHushiyon ki barish la nahin sakti
meri ruh-e-hazin mahkum hai apne tassur ki
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein
main jinsi khel ko kyun ek tan-asani samajhta hun
kabhi insan ki umr-e-muKHtasar par ghaur karta hun
kabhi fani tamannaon ki jhilon mein yunhi khoya sa phirta hun
(631) Peoples Rate This