Lab-e-ju-e-bare
ek hi pal ke liye baiTh ke phir uTh baiThi
aankh ne sirf ye dekha ki nashista but hai
ye basarat ko na thi tab ki wo dekh sake
kaise talwar chali, kaise zamin ka sina
ek lamhe ke liye chashme ki manind bana
pech khate hue ye lahr uThi dil mein mere
kash! ye jhaDiyan ek silsila-e-koh banen
daman-e-koh mein main ja ke sitada ho jaun
aisi anhoni jo ho jae to kyun ye bhi na ho
KHushk patton ka zamin par jo bichha hai bistar
wo bhi ek saz bane saz to hai saz to hai
naghma bedar hua tha jo abhi kan tere
kyun use sun na sake sunne se majbur rahe
parda-e-chashm ne sirf ek nashista but ko
zehn ke daera-e-KHas mein markuz kiya
yaad aata hai mujhe kan hue the bedar
KHushk patton se jab aai thi taDapne ki sada
aur daman ki har ek lahar chamak uTThi thi
paD raha tha usi talwar ka saya shayad
jo nikal aai thi ek pal mein nihan-KHane se
jaise be-saKHta andaz mein bijli chamke
lekin is daman-e-aluda ki har lahar miTi
jal-pari dekhte hi dekhte ru-posh hui
main sitada hi raha main ne na dekha (afsos!)
kaise talwar chali kaise zamin ka sina
ek lamhe ke liye chashme ki manind bana
daman-e-koh mein istada nahin hun is waqt
jhaDiyan silsila-e-koh nahin parda hain
jis ke us par jhalakta nazar aata hai mujhe
manzar anjaan, achhuti si dulhan ki surat
han tasawwur ko main ab apne bana kar dulha
isi parde ke nihan-KHane mein le jaunga
kaise talwar chali kaise zamin ka sina
dil-e-be-tab ki manind taDap uTTha tha
ek be-saKHta andaz mein bijli ki tarah
jal-pari gosha-e-KHalwat se nikal aai thi!
zindagi garm thi har bund mein aabi paun
KHushk patton pe phisalte hue ja pahunche the!
main bhi maujud tha ek kirmak-e-be-nam-o-nishan
main ne dekha ki ghaTa shaq hui dhaara nikli
barq-raftari se ek tir kaman ne chhoDa
aur wo KHam kha ke lachakta hua tharra ke gira
qulla-e-koh se girte hue patthar ki tarah
koi bhi rok na thi us ke liye us ke liye
KHushk patton ka zamin par hi bichha tha bistar
usi bistar pe wo anjaan pari leT gai!
aur main kirmak-e-be-nam, ghaTa ki surat
isi ummid mein takta raha takta hi raha
ab isi waqt koi jal ki pari aa jae
bansuri hath mein le kar main gwala ban jaun
jal-pari aae kahan se? wo isi bistar par
main ne dekha abhi aasuda hui leT gai
lekin afsos ki main ab bhi khaDa hun tanha
hath aaluda hai, nam-dar hai, dhundli hai nazar,
hath se aankhon ke aansu to nahin ponchhe the!
(622) Peoples Rate This