Jism Ke Us Par
andhere kamre mein baiTha hun
ki bhuli-bhaTki koi kiran aa ke dekh pae
magar sada se andhere kamre ki rasm hai koi bhi kiran aa ke dekh pae
bhala ye kyun ho
koi kiran is ko dekh pae to us ghaDi se
andhera kamra andhera nahin rahega
wo TuT kar tirgi ka ek sail-e-be-karan ban ke bah uThega
aur us ghaDi se is ujale ka koi maKHzan bhi rok pae bhala ye kyun ho
hazar salon ke fasle se ye kah raha hun
hazaron salon ke fasle se magar koi is ko sun raha hai ye kaun jaane
siyah baalon ki tirgi mein tumhaara matha chamak raha hai
tumhaari aankhon mein ek kiran nach nach kar mujh se kah rahi hai
ki mere honTon mein hai wo amrit
hazaron salon ke fasle se jo ris raha hai
magar ye sab sal nur ke sal to nahin tirgi ke bhi sal ye nahin hain
ye sal to fasle ki pechida silwaTen hain
andhera kamra andhera kyun hai
tumhaare baalon ki tirgi main nigah gum hai
ye band juDa jo khul ke bikhre to phir kiran bhi sanwar ke nikhre
tumhaara malbus ek sapidi pe dhaariyon se sujha raha hai
andhere kamre mein jab kiran aai tirgi dhaariyan banegi
aur us kiran se andhera pal-bhar ujala ban kar pukar uThega
ki bhuli-bhaTki yahan kabhi tirgi bhi aae
hazaron salon ka fasla tirgi bana hai
tumhaare honTon pe git ke phul muskurae ki tum ne apne libas ko yun utar phenka
ki jaise ragi ne tan li ho
tumhaari har tan tirgi ki siyah dhaara bani hui hai
koi kiran is se phuT pae bhala ye kyun ho
siyah kamra tumhaari tanon se gunjta hai
hazaron salon se gunjta hai
siyah kamra tumhaare baalon ki tirgi se chamak raha hai
siyah kamra libas ki har achhuti karwaT se kah raha hai
yahan tum aao yahan koi tum ko dekh pae nahin ye mumkin
yahan kiran aai to wo fauran andhere kamre mein ja chhupegi
aur us pe dhaara libas ki yun bahegi jaise
andhera kamra andhera kamra kabhi nahin tha
wo ek kiran thi
(719) Peoples Rate This