Jatri
ek aaya gaya dusra aaega der se dekhta hun yunhi raat us ki guzar jaegi
main khaDa hun yahan kis liye mujh ko kya kaam hai yaad aata nahin yaad bhi TimTimata
hua ek diya ban gai jis ki rukti hui aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai
magar mere kanon ne kaise use sun liya ek aandhi chali chal ke miT
bhi gai aaj tak mere kanon mein maujud hai saen saen machalti hui aur
ubalti hui phailti phailti der se main khaDa hun yahan ek aaya gaya
dusra aaega raat us ki guzar jaegi ek hangama barpa hai dekhen jidhar
aa rahe hain kai log chalte hue aur Tahalte hue aur rukte hue phir se
baDhte hue aur lapakte hue aa rahe ja rahe hain idhar se udhar aur udhar se
idhar jaise dil mein mere dhyan ki lahar se ek tufan hai waise aankhen
meri dekhti hi chali ja rahi hain ki ek TimTimate diye ki kiran zindagi ko phisalte
hue aur girte hue Dhab se zahir kiye ja rahi hai mujhe dhyan
aata hai ab tirgi ek ujala bani hai magar is ujale se risti chali ja rahi
hain wo amrit ki bunden jinhen main hatheli pe apni sambhaale raha hun hatheli
magar TimTimata hua ek diya ban gai thi lapak se ujala hua lau giri phir andhera sa
chhane laga baiThta baiThta baiTh kar ek hi pal mein uThta hua jaise aandhi ke
tikhe thapeDon se darwaze ke taq khulte rahen band hote rahen
phaDphaDate hue tair-e-zaKHm-KHurda ki manind main dekhta hi raha ek aaya
gaya dusra aaega soch aai mujhe panw baDhne se inkar karte
gae main khaDa hi raha dil mein ek bund ne ye kaha raat yunhi guzar jaegi
dil ki ek bund ko aankh mein le ke main dekhta hi raha phaDphaDate hue tair
zaKHm-KHurda ki manind darwaze ke taq ek bar jab mil gae mujh ko aahista aahista
ehsas hone laga ab ye zaKHmi parinda na taDpega lekin mere dil ko har waqt
taDpaega main hatheli pe apni sambhaale rahunga wo amrit ki bunden jinhen aankh
se meri risna tha lekin meri zindagi TimTimata hua ek diya ban gai jis ki rukti hui
aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai ki is tirgi mein koi baat aisi nahin
jis ko pahle andhere mein dekha ho main ne safar ye ujale andhere ka chalta
raha hai to chalta rahega yahi rasm hai rah ki ek aaya gaya dusra
aaega raat aise guzar jaegi TimTimate sitare batate the raste ki
naddi bahi ja rahi hai bahe ja is uljhan se aise nikal ja koi sidha manzil pe jata
tha lekin kai qafile bhul jate the anjum ke daur-e-yagana ke mubham ishaare magar wo
bhi chalte hue aur baDhte hue sham se pahle hi dekh lete the maqsud ka band
darwaza khulne laga hai magar main khaDa hun yahan mujh ko kya kaam hai mera darwaza
khulta nahin hai mujhe phaile sahra ki soi hui reg ka zarra zarra yahi kah raha hai
ke aise KHarabe mein sukhi hatheli hai ek aisa talwa ke jis ko kisi KHar ki nok chubhne pe bhi
kah nahin sakti mujh ko koi bund apne lahu ki pila do magar main khaDa hun yahan kis liye
kaam koi nahin hai to main bhi in aate hue aur jate hue ek do tin
lakhon bagulon mein mil kar yunhi chalte chalte kahin Dub jata ke jaise yahan
bahti lahron mein kashti har ek mauj ko tham leti hai apni hatheli ke phaile kanwal
mein mujhe dhyan aata nahin hai ki is rah mein to har ek jaane wale ke bas
mein hai manzil main chal dun chalun aaiye aaiye aap kyun is jagah
aise chup-chap tanha khaDe hain agar aap kahiye to hum ek achhuti si Tahni se
do phul bas bas mujhe is ki koi zarurat nahin hai main ek
dost ka rasta dekhta hun magar wo chala bhi gaya hai mujhe phir bhi
taskin aati nahin hai ki main ek sahra ka bashinda malum hone laga hun KHud
apni nazar mein mujhe ab koi band darwaza khulta nazar aae ye baat mumkin nahin hai
main ek aur aandhi ka mushtaq hun jo mujhe apne parde mein yaksar chhupa le
mujhe ab ye mahsus hone laga hai suhana saman jitna bas mein tha mere
wo sab ek bahta sa jhonka bana hai jise hath mere nahin rok sakte
ki meri hatheli mein amrit ki bunden to baqi nahin hain faqat ek phaila hua
KHushk be-barg be-rang sahra hai jis mein ye mumkin nahin main kahun
ek aaya gaya dusra aaega raat meri guzar jaegi
(571) Peoples Rate This