Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_26dfea6c113e31131210800f88208968, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Thi Aurat - Meeraji Poetry In English - Darsaal

Ek Thi Aurat

ye ji chahta hai ki tum ek nannhi si laDki ho aur hum tumhein god mein le ke apni biTha len

yunhi ciKHo chillao hans do yunhi hath uThao hawa mein hilao hila kar gira do

kabhi aise jaise koi baat kahne lagi ho

kabhi aise jaise na bolenge tum se

kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karo aisi baaten

hamein sarsaraati hawa yaad aae

jo gunjaan peDon ki shaKHon se Takrae dil ko anokhi paheli bujhae magar wo paheli samajh mein na aae

koi sard chashma ubalta hua aur machalta hua yaad aae

jo ho dekhne mein Tapakti hui chand bunden

magar apni had se baDhe to bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar

ye ji chahta hai ki hum aise sagar ki lahron pe aisi hawa se bahaen wo kashti jo bahti nahin hai

musafir ko lekin bahati chali jati hai aur palaT kar nahin aati hai ek gahre sakun se milati chali jati hai

ye ji chahta hai ki hum bhi yunhi chiKHen chillaen hans den yunhi hath uThaen

hawa mein hilaen hila kar gira den

kabhi aise jaise koi baat kahne lage hain

magar tum hamein god mein le ke apni biTha lo

machalne lagen to sambhaalo

kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karen aisi baaten

tumhein sarsaraati hawa yaad aae

wahi sarsaraati hawa jis ke miThe fusun se dupaTTa phisal jata hai

wahi sarsaraati hawa jo har anjaan aurat ke bikhre hue gesuon ko

kisi soe jangal pe ganghor kali ghaTa ka naya bhes de kar

jaga deti hai

tumhein sarsaraati hawa yaad aae

hamein sarsaraati hawa yaad aae

ye ji chahta hai

magar apni had se baDhe to har ek shai bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar

wo sagar jo bahte musafir ko aage bahata nahin hai jhakole diye jata hai bas

jhakole diye jata hai

aur phir ji hi ji mein musafir ye kahta hai apni kahani nai to nahin hai

purani kahani mein kya lutf aae

hamein aaj kis ne kaha tha purani kahani sunao

(559) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Thi Aurat In English By Famous Poet Meeraji. Ek Thi Aurat is written by Meeraji. Read famous Poem Ek Thi Aurat for youth and Student by Meeraji. Free Download Ek Thi Aurat in PDF.