Dhobi Ka GhaT
jis shaKHs ke malbus ki qismat mein likhi hai
kirnon ki tamazat
rashk aata hai mujh ko
us par
kyun sirf achhuta
anjaan anokha
ek KHwab hai KHalwat
kyun sirf tasawwur
bahlata hai mujh ko
kyun subh-e-shab-e-aish ka jhonka
ban kar
ruKHsar ke be-nam aziyyat
sahlata hai mujh ko?
kyun KHwab-e-fusun-gar ki quba chaak nahin hai
kyun gesu-e-pechida-o-raqsan
namnak nahin hai
ashk-e-dil-e-KHun se
kyun lams ki hasrat ke junun se
milti nahin mujh ko
be-qaid rihai
malbus pe kirnon ki tamazat
hai dam nazar ka
aur subh-e-shab-e-aish ko gesu ka mahakta hua jhonka
marhun sahar ka
hota hi nahin hai
kyun dhoe na pairahan-e-aluda ke dhabbe
maKHmur-e-masarrat
kirnon ki tamazat
ban jae na kyun rang-e-shab-e-aish ka ek aks-e-musalsal
majbur-e-aziyyat
to man le is aks ka manzar
deta hai tujhe jam-e-chashida ki si lazzat
kyun soch raha hai
jhuTa hai ye pyala
kya aaj zamane mein kahin dekhi hai tu ne
doshiza masarrat?
phaile hue malbus pe kirnon ki tamazat
hai zist ke gesu ki hararat
is shaKHs ko pairahan-e-aluda ke dhone hi se rozi
milti hai jahan mein
to us pe nazar kar
(537) Peoples Rate This