Baghawat-e-nafs
zindagi mahbub hai phir bhi duaen maut ki
mangta hai dil mera din raat kyun
qismat-e-gham-gin ke honTon par kabhi
aa nahin sakti KHushi ki baat kyun
kyun nigahon par meri chhae hain aansu ke naqab
is sawal-e-mustaqil ka kyun nahin milta jawab
kya KHudi ki uljhanen mere irade toD kar
kar rahi hain mujh ko is duniya mein nakaam-e-hayat
kyun nahin aati wo raat
jis ki KHurram-tar sahar
aarzu hai mujh se ho ab ham-kalam
rahaten madum hain mere taKHayyul se tamam
rasta mujh ko nazar aata nahin
rasta mujh ko KHushi ka kyun nazar aata nahin
chal mere dil aaj is mahdud KHalwat se nikal
han sambhal qar-e-KHamoshi mein na gir han ab sambhal
be-KHudi maslak bana le bhul ja sab aaj kal
chhoD de markaz ki chahat muztarib ho aur machal
sina-e-atash-fishan ki tarah garmi se ubal
chal mere dil rasta KHushiyon ka dekh
aur shola aish ke lamhon ka dekh
dil-girafta aansuon ko KHushk kar
dekh rasta aansuon ko KHushk kar
chhoD de markaz ki chahat muztarib ho aur machal
chal mere dil aaj is mahdud KHalwat se nikal
(505) Peoples Rate This