Adam Ka KHala
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
yahan koi aisi shai nahin jise wo le jaen sath apne
yahan koi aisi shai nahin jise koi dekh kar ye soche
ki ye hamare bhi pas hoti
yahan koi rah-rau nahin hai na koi manzil
yahan andhera nahin ujala nahin koi shai nahin hai
guzarte lamhon ke aatishin panw is jagah pai-ba-pai rawan hain
har ek shai ko sujhate jate har ek shai ko jalate jate miTate jate
har ek shai ko sujhate jate ki kuchh nahin hast se bhi hasil
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
ye sab maabid ye shahr ganw
fasana-e-zist ke nishan hain
magar har ek dar pe ja ke dekha har ek diwar raund Dali har ek rauzan ko dil samajh kar
ye bhed jaana
guzarte lamhon ke aatishin panw har jagah pai-ba-pai rawan hain
kahin miTate kahin miTane ke waste naqsh-e-nau banate
hayat-e-rafta hayat-e-ainda se milegi ye kaun jaane
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
har jagah dam duriyon ka bichha hua hai
har ek jagah waqt ek ifrit ki tarah yun khaDa hua hai
ki jaise wo kaenat ka aks-e-be-karan ho
kabhi fareb-e-KHayal ban kar kabhi kabhi bhul kar shuur-e-jamal ban kar
shikar ki na-tawan nazar ko sujha raha hai
har ek shai se mera nishan-e-adam ayan hai
adam bhi daryuza-gar hai mera mere hi bal par rawan-dawan hai
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
fasana-e-zist ka jhulasta hua ujala bhi miT chuka hai
magar ho miT kar koi andhera nahin bana hai
ki is jagah to koi andhera nahin ujala nahin yahan koi shai nahin hai
(866) Peoples Rate This