Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2a1fdc80ab5d16a1aeaa84a4186e970b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen - Meeraji Poetry In English - Darsaal

Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen

gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen

gham bhi ras na aaya dil ko aur hi kuchh saman karen

karne aur kahne ki baaten kis ne kahin aur kis ne kin

karte kahte dekhen kisi ko hum bhi koi paiman karen

bhali buri jaisi bhi guzri un ke sahaare guzri hai

hazrat-e-dil jab hath baDhaen har mushkil aasan karen

ek Thikana aage aage pichhe ek musafir hai

chalte chalte sans jo TuTe manzil ka elan karen

'mir' mile the 'mira-ji' se baaton se hum jaan gae

faiz ka chashma jari hai hifz un ka bhi diwan karen

(463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen In English By Famous Poet Meeraji. Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen is written by Meeraji. Read famous Poem Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen for youth and Student by Meeraji. Free Download Gham Ke Bharose Kya Kuchh ChhoDa Kya Ab Tum Se Bayan Karen in PDF.