Dida-e-ashk-bar Hai Apna
dida-e-ashk-bar hai apna
aur dil be-qarar hai apna
rashk-e-sahra hai ghar ki virani
yahi rang-e-bahaar hai apna
chashm-e-giryan se chaak-e-daman se
haal sab aashkar hai apna
hae-hu mein har ek khoya hai
kaun yan gham-gusar hai apna
sirf wo ek sab ke hain muKHtar
un pe kya iKHtiyar hai apna
bazm se un ki jab se nikla hai
dil gharib-ud-dayar hai apna
un ko apna bana ke chhoDenge
baKHt agar sazgar hai apna
pas to kya hai apne phir bhi magar
us pe sab kuchh nisar hai apna
hum ko hasti raqib ki manzur
phul ke sath KHar hai apna
hai yahi rasm-e-mai-kada shayad
nashsha un ka KHumar hai apna
jit ke KHwab dekhte jao
ye dil-e-bad-qimar hai apna
kya ghalat sochte hain 'mira-ji'
sher kahna shiar hai apna
(502) Peoples Rate This