Dhab Dekhe To Humne Jaana Dil Mein Dhun Bhi Samai Hai
Dhab dekhe to hum ne jaana dil mein dhun bhi samai hai
'mira-ji' dana to nahin hai aashiq hai saudai hai
subh-sawere kaun si surat phulwari mein aai hai
Dali Dali jhum uThi hai kali kali lahrai hai
jaani-pahchani surat ko ab to aankhen tarsengi
nae shahr mein jiwan-dewi naya rup bhar lai hai
ek khilauna TuT gaya to aur kai mil jaenge
baalak ye anhoni tujh ko kis bairi ne sujhai hai
dhyan ki dhun hai amar git pahchan liya to bolega
jis ne rah se bhaTkaya tha wahi rah par lai hai
baiThe hain phulwari mein dekhen kab kaliyan khilti hain
bhanwar bhaw to nahin hai kis ne itni rah dikhai hai
jab dil ghabra jata hai to aap hi aap bahalta hai
prem ki rit ise jaano par honi ki chaturai hai
ummiden arman sabhi jul de jaenge jaante the
jaan jaan ke dhoke khae jaan ke baat baDhai hai
apna rang bhala lagta hai kaliyan chaTkin phul banin
phul phul ye jhum ke bola kaliyo tum ko badhai hai
aabshaar ke rang to dekhe lagan manDal kyun yaad nahin
kis ka byah racha hai dekho Dholak hai shahnai hai
aise Dole man ka bajra jaise nain-bich ho kajra
dil ke andar dhum machi hai jag mein udasi chhai hai
lahron se lahren milti hain sagar umDa aata hai
manjdhaar mein basne wale ne sahil par jot jagai hai
aaKHiri baat sunae koi aaKHiri baat sunin kyun hum ne
is duniya mein sab se pahle aaKHiri baat sunai hai
(497) Peoples Rate This