Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai
pas rah kar dekhna tera baDa arman hai
mujh ko sab mushkil hai pyare tujh ko sab aasan hai
ai mere badmast mat kar tu ghazalon ka shikar
le na mere dil ko chakh ye zor hi biryan hai
kya dua dete ho miyan jite raho jite raho
zindagani to nahin angrez ka zindan hai
ek bosa mach-macha kar bich se honTon ke de
phir agar dil tujh se mangun jaan bhi nadan hai
jis ki niyat mein dagha hai aap hota hai KHarab
KHosha-e-gandum ko dekho kab se data-dan hai
aah kuchh chubhta hai uThte baiThte sine ke bich
chir ke dekho to ye almas ka paikan hai
mere samjhane ko aaya hai baghal mein le kitab
nak mein laya hai dam naseh koi shaitan hai
'soz' ka rutba kahan pahuncha hai jo teri raza
log ye kahte hain ab tu sahib-e-diwan hai
(475) Peoples Rate This