Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_831e80a409c7b8958837c4a4f1b44fa2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein - Meer Soz Poetry In English - Darsaal

Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein

hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein

na to koi aadmi jaane hai na hisab mein na kitab mein

na to ilm apne mein hai yahan ki KHuda ne bheja hai kis liye

isi ko jo kahte hain zindagi so to jism ke hai azab mein

yahi shakl hai jise dekho ho yahi waza hai jise ghuro ho

jise jaan kahte hain aadmi use dekha aalam-e-KHwab mein

main KHilaf tum se nahin kaha ise mano ya ki na mano tum

main ne apni aankhon se dekha main ki mila hun us ki janab mein

na sunoge 'soz' ki guftugu jo phiroge DhunDne ku-ba-ku

ye nasha hai us ke bayan mein ki nahin nasha hai sharab mein

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein In English By Famous Poet Meer Soz. Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein is written by Meer Soz. Read famous Poem Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein for youth and Student by Meer Soz. Free Download Hamein Kaun Puchhe Hai Sahibo Na Sawal Mein Na Jawab Mein in PDF.