Dard-mandon Se Na Puchho Ki Kidhar BaiTh Gae

dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae

teri majlis mein ghanimat hai jidhar baiTh gae

hai gharaz did se yan kaam takalluf se nahin

KHwah idhar baiTh gae KHwah udhar baiTh gae

dekha howega mere ashk ka tufan tum ne

lakh diwar gire sainkaDon ghar baiTh gae

kis nazar-naz ne us baz ko baKHshi parwaz

sainkaDon murgh hawa phand ke par baiTh gae

kam hai aawaz tere kuche ke bashindon ki

nala karne se gale un ke magar baiTh gae

muft uThne ke nahin yar ke kuche se 'faqir'

jab ki bistar ko jama khol kamar baiTh gae

(2258) Peoples Rate This

Meer Shamsuddeen Faqeer's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard-mandon Se Na Puchho Ki Kidhar BaiTh Gae In English By Famous Poet Meer Shamsuddeen Faqeer. Dard-mandon Se Na Puchho Ki Kidhar BaiTh Gae is written by Meer Shamsuddeen Faqeer. Read famous Poem Dard-mandon Se Na Puchho Ki Kidhar BaiTh Gae for youth and Student by Meer Shamsuddeen Faqeer. Free Download Dard-mandon Se Na Puchho Ki Kidhar BaiTh Gae in PDF.