Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai
raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai
lau charaghon ki shafaq ban ke bikhar jati hai
ghar ka aangan ho ki sahraon ka sannaTa ho
koi aawaz taaqub mein chali aati hai
kitna hassas hai ye aalam-e-tanhai bhi
phul khilte hain to zaKHmon se mahak aati hai
har nai subh teri yaad ka aansu ban kar
zindagi sham ki palkon se Tapak jati hai
aag lagti hai KHayalon ke ufuq-zaron mein
raushni mom ki manind pighal jati hai
dil ki galiyon se guzarta hai zamana koi
fikr-e-shair mein koi raat mahak jati hai
sochte chehron pe sadiyon ki thakan hai 'saqib'
jagti aankhon mein ab nind kahan aati hai
(386) Peoples Rate This