Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De
manzil na koi moD na rasta dikhai de
aalam tamam dhund mein lipTa dikhai de
qatil dikhai de na masiha dikhai de
har shaKHs ek fareb-e-tamasha dikhai de
waise to zindagi hai ujalon ka shahr bhi
dekho to maqbaron ka andhera dikhai de
jaun udhar to ek samundar hai be-karan
dekho idhar to pyas ka sahra dikhai de
rangin hai qatl-e-gul se abhi daman-e-bahaar
dast-e-hawas se KHun Tapakta dikhai de
tahtush-shuur mein hai jo ek lamha-e-KHyal
lafzon ki siDhiyon se utarta dikhai de
sunta hun saaton mein nigar-e-sahar ki chap
manzar naqab-e-sham ulaTta dikhai de
DhunDo kisi hasin KHarabe mein zindagi
ye dil to sadhuon ka basera dikhai de
arz-e-dakan mein baat chali hai kuchh is tarah
'saqib' dayar-e-sher mein tanha dikhai de
(410) Peoples Rate This