Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri
kabhi bahaar kabhi gul subu Thahri
wo aankh jo kisi jannat ki aab-ju Thahri
rusum-e-dard nibhaen ki aap ko chahen
yahi to shart-e-mulaqat du-badu Thahri
har ek pal mein hazaron Thahar gain sadiyan
nasim-e-subh-e-tamanna magar na tu Thahri
labon ki narm lapeTon mein ghulti ghulti shafaq
kahin lahu kahin rangini-e-subu Thahri
dar-e-firaq pe dam-bhar ko nikhat-e-sahari
tere KHiram ki manind hu-ba-hu Thahri
tumhaara lams moattar tumhaara jism bahaar
yahi to bahs gulabon ke ru-ba-ru Thahri
(386) Peoples Rate This