Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The
charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the
hum apne aap se itne khinche khinche to na the
fusun-e-chashma-e-sail-e-rawan ki umr-e-daraaz
un aansuon mein samundar ruke ruke to na the
shab-e-firaq un aankhon mein kaT gai hogi
mile wo kal bhi the lekin thake thake to na the
wo sans leti hui tishnagi wo nahr-e-furaat
labon pe pyas ke dariya thame thame to na the
wo aankh ab bhi samajhti hai ajnabi hum ko
magar hum ahl-e-nazar yun nae nae to na the
(424) Peoples Rate This