BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab
baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab
TuTne lagte hain yaadon ke badan aaKHir-e-shab
sari duniya hai siyahi ke samundar ki tarah
chhin li waqt ne ek ek kiran aaKHir-e-shab
raushni ban ke dabe panw chala aata hai
un darichon se tera sanwala-pan aaKHir-e-shab
thak ke baiThi hai kahin dur musafir ki tarah
mere KHwabon se meri subh-e-chaman aaKHir-e-shab
har bun-e-mu se chhalakne lagi yaadon ki sharab
aur gulnar hua tera badan aaKHir-e-shab
ek ek KHwab yahin dafn hua hai 'saqib'
dekhna sog mein hai arz-e-dakan aaKHir-e-shab
(385) Peoples Rate This