Kis Nur Ki Majlis Mein Meri Jalwagari Hai
kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
jis nur se pur-nur ye nur-e-nazari hai
aamad hi mein hairan qayas-e-bashri hai
ye kaun si taswir-e-tajalli se bhari hai
go husn ka rutba nahin mazkur hua hai
mimbar mera ham-martaba-e-tur hua hai
sad shukr ki majlis mari mushtaq-e-suKHan hai
ye faiz-e-inayat-e-husain aur hasan hai
phir josh-e-jawani pe mari taba-e-kuhan hai
ye quwwat-e-imdad shah-e-tishna-dahan hai
naqqash mein ye sanat-e-tahrir nahin hai
taswir dikhata hun ye taqrir nahin hai
naqqash to karta hai qalam le ke ye tadbir
ek shakl nai safha-e-qirtas pe tahrir
insaf karo kilk-e-zaban se dam-e-tahrir
main safha-e-baatin mein raqam karta hun taswir
sau rang se taswir musawwir ne bhari hai
rangini-e-mazmun ki kahan jalwagari hai
taswir mein us shaKHs ki hun tum ko dikhata
jo sani mahbub-e-ilahi hai kahata
ek nur jo jata hai to ek nur hai aata
wajh-e-adam saya-e-ahmad hun sunata
tha baad-e-mohammad ke jo aaya ali akbar
tha ahmad-e-muKHtar ka saya ali akbar
yan tak suKHan-e-taza kiya taba ne paida
wo nur-e-nabi aur nabi nur-e-KHuda ka
ye silsila-e-nur kahan ja ke hai pahuncha
akbar ko jo dekha to batao kise dekha
wallah ziyarat ka saza-war hai akbar
nemul-badal ahmad0-e-muKHtar hai akbar
lekin tumhein taswir ye karti hai ishaarat
han majlisiyan roza-e-jannat ki bashaarat
ho mahw-e-tahaarat hai agar qasd-e-ziyarat
hai lazim-o-malzum ziyarat ko tahaarat
is qasd pe baiThe ho jo sahib-e-nazaro tum
tajdid-e-wazu ashk ke pani se karo tum
likha hai ki thi hazrat-e-shabbir ko aadat
hoti thi namaz-e-sahri se jo faraghat
pahle ali akbar hi ko bulwate the hazrat
farmate the karta hun ibaadat mein ibaadat
raushan ho na kyun chashm-e-husain ibn-e-ali
karta hun ziyarat mein jamal-e-nubwi ki
karte ali akbar to jhuka farq ko mujra
har martaba mil jata tha panw se sar un ka
(3655) Peoples Rate This