Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9e84fc7074ac40578ab9a51a261d8b40, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota - Meer Mustahsan Khaleeq Poetry In English - Darsaal

Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota

naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota

is tarah ashk main aankhon mein na laya hota

mere KHurshid na hota ye mera roz-e-siyah

tu ne gar zulf mein mukhDa na chhupaya hota

bagh-e-jannat mein bhi kya KHub guzarti meri

wan bhi sar par jo teri zulf ka saya hota

naseha chaak-e-gareban ke silane se husul

chaak aankhon ka meri tu ne silaya hota

phul paDta na 'KHaliq' aatish-e-gul se us par

aashiyan hum ne Tuk uncha jo banaya hota

(460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota In English By Famous Poet Meer Mustahsan Khaleeq. Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota is written by Meer Mustahsan Khaleeq. Read famous Poem Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota for youth and Student by Meer Mustahsan Khaleeq. Free Download Naza Mein Gar Meri Baalin Pe Tu Aaya Hota in PDF.