Zahid Is Rah Na Aa Mast Hain Mai-KHwar Kai
zahid is rah na aa mast hain mai-KHwar kai
abhi yan chhin liye jubba-o-dastar kai
sang-dil kun na kisi ki hui afsos KHabar
mar gae sar kun paTak kar pas-e-diwar kai
na-tawan mujh sa bhala kaun hai insaf to kar
chashm-e-fattan ke tere garche hain bimar kai
dil ki betabi se aur chashm ki be-KHwabi se
nazar aane lage ab ishq ke aasar kai
jun hi wo hosh-ruba aa ke numudar hua
naqsh-e-diwar hue talib-e-didar kai
abru-o-chashm-o-nigah-o-mizha har ek KHun-KHwar
ek dil hai mera tis par hain dil-azar kai
ai masiha-e-zaman dekh Tuk aa kar ahwal
ki teri chashm ke yan marte hain bimar kai
khinch mat zor se shane ko tu ai mashshata
dil hain us zulf ke baalon mein giraftar kai
kaf-e-pa hain tere sahra ki nishani 'bedar'
mar gaya to bhi phaphulon mein rahe KHar kai
(312) Peoples Rate This