Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum
ye bhi koi waza aane ki hai jo aate ho tum
ek dam aae nahin guzra ki phir jate ho tum
dur se yun to koi jhamki dikha jate ho tum
par jo chahun ye ki pas aao kahan aate ho tum
kahiye mujh se to bhala itna ki kuchh main bhi sunun
banda-parwar kis ke han tashrif farmate ho tum
us pari-surat bala-angez ko dekha nahin
naseho mazur ho gar mujh ko samjhate ho tum
dekhiye KHirman pe ye barq-e-bala kis ke paDe
be-tarah kuchh tewari badle chale aate ho tum
jo koi banda ho apna is se phir kya hai hijab
main to is laeq nahin jo mujh se sharmate ho tum
aaj ye go aur ye maidan unhen kah dijiye
dekh lun jin ke bharose mujh ko dhamkate ho tum
phir na aawenge kabhi aisi hi gar aazurda ho
bas chale hum KHush raho kahe ko jhunjlate ho tum
haalat-e-'bedar' ab kya kijiye aap aage bayan
waqt hai ab bhi agar tashrif farmate ho tum
(323) Peoples Rate This