Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6517e0aea818aa157a2f13fb31b195b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain - Meer Mohammadi Bedar Poetry In English - Darsaal

Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain

yarab jo KHar-e-gham hain jala de unhon ke tain

jo ghuncha-e-tarab hain khila de unhon ke tain

inkar-e-hashr jin ko hai ai sarw-e-KHush-KHiram

yak bar apne qad ko dikha de unhon ke tain

kahte hain abru-o-mizha KHun-rez hain teri

zalim kabhi hamein bhi bata de unhon ke tain

us shama-ru ka mujh se jo karte hain sard dil

ai aah-e-soz-nak jala de unhon ke tain

sozan hai dagh-e-hijr mere dil mein misl-e-shama

ai yaad-e-wasl-e-yar bujha de unhon ke tain

karte hain sar-kashi jo kaf-e-pa se aable

ai KHar-e-dasht-e-ishq biTha de unhon ke tain

jo saf-o-be-ghubar hain 'bedar' aashna

jun surma apni chashm mein ja de unhon ke tain

(275) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Yarab Jo Khaar-e-gham Hain Jala De Unhon Ke Tain in PDF.