Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho
tum ko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho
ye to kahne hi ki baaten hain kahan sunte ho
chah ka zikr tumhaari main kiya kis aage
kaun kahta hai kaho kis ki zaban sunte ho
kashish-e-ishq hi lai hai tumhein yan warna
aap se tha na mujhe ye to guman sunte ho
ek shab mera bhi afsana-e-jaan-soz suno
qisse auron ke to ai jaan-e-jahan sunte ho
wo gul-andam jo aaya to KHajalat se tamam
zard ho jaoge ai lala-ruKHan sunte ho
ek ke lakh sunaunga KHabar-dar raho
is taraf aai agar tab-e-rawan sunte ho
aaj kya hai kaho kyun aise KHafa baiThe ho
apni kahte ho na meri hi miyan sunte ho
kaun hai kis se karun dard-e-dil apna izhaar
chahta hun ki suno tum to kahan sunte ho
ye wahi shoKH hai aata hai jo 'bedar' ke sath
jis ko ghaarat-gar-e-dil aafat-e-jaan sunte ho
(345) Peoples Rate This