Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar
tujh bin sarishk-e-KHun ka hai aankhon se tughiyan is qadar
barsa nahin ab tak kahin abr-e-bahaaran is qadar
gulshan mein gar dekhen mujhe huin sumbul o nargis KHajil
dil hai pareshan is qadar aankhen hain hairan is qadar
rakhta hai tu jis ja qadam hota hai lohu ka nishan
pamal karta hai koi KHun-e-shahidan is qadar
DhunDhe jo tu daman talak pawe na sabit tu use
main chaak phirta hun kiye naseh gareban is qadar
'bedar' ko dikhla ke tu ne qatl auron ko kiya
karta hai ai zalim koi zulm-e-numayan is qadar
(378) Peoples Rate This